Tumhara na hokar bhi hona iteefaq hai kya?
kya tumhe bhi mujhse pyaar hai kya?
kya tumhare pashtaave, tumse aur galtiyan krwa rahe!
kya abb ham hamesa ke liye dur ja rhe ?
hoga tumhare pass sara jahan par kuch sapne maine bhi dekhe thee apne .
Jo hamesa raha aur rahega uski qadar nhi par jo chor jayega wo hai tumhara sara jahan!!
Yakeen krna mushkil hai par mujhe abhi bhi tumse pyaar hai...
par meri baaton ka ab tumpe na koi bhar hai
Juda thee tum kal, juda ho tum aaj bhi...
kosishein ki hazar par isqh ek tarfa hai aaj bhi, isqh ek tarfa hai aaj bhi...
ye ishq gulami nahi isliye tumhe kaid nahi karna chahti, ab main jatana nahi chahti,
tumhe aur satana nahi chahti!
jo main samjhana chahti hu wo tum kabhi samjh nahi sakte isliye main ab samjhana nahi chahti...
tumhari chuppi mere saare sawalon ka jawab bann jati hai, mera hona ya na hona tumhare liye ek baat bann jati hai...
bss ek akhri darquast hai tumse bhi ab tum mujhse bhi koi tamanna mat rakhna
ab tum mujhse koi vaade mat krna...
agar shikayatein bach bhi jaye toh bass iss baar kudh tak hi rakhna ...
ab ya toh tumahri duniya ya bass ek anjaan, iss anjam ka kewal yahi ek naam rakhna.. yahi ek naam rakhna.
Comments
Post a Comment