Yaad aati hai 2020 se phele ki Holi ki , Yaad aate hai befikr bekauf baache jo gaon ki galiyon mein kameez phad kar holi khela karte thee , kyuki bura manna mana haina ...
Ab kha rahi wo baat , na rahein logg, jo reh gaye unse bhi kam hone lagi mulakaat ...
ab wo ladkiyan mujhe ghar aakar nahi bolti "Didi chalo na bahar , rang lagayenge apko"
ab wo chhat se chhat pe pichkari se waar kon karega ? dhero mithaiyian kon batega ?
kon hoga hasne wala ? baat baat pe roone wala , aur jab dadi kuch kaam dede toh muh phulane wala?...
yaad aati hai ... uss har ek shaqs ki jo shaam hote hi holi wale ghar mein abeer khelne aate thee .. woh rang mano prateek thee ek ummed ki ..
chaye jeevan mein kitna bhi dukh aye ham haar nahi manenge, aur sada sath rahenge.
ajj rang toh kal tumhari khali jholi bhi bhar denge..
Pata hai , jab ham bachon ko chocolates dete thee toh unke chere ka noor kuch aur hi hota tha ...
woh kya haina mummy janti thi ki unki bachi ko chocolates pasand hai toh unko bhi hoga , ajeeb baat hai ye kisi aur ne nahi socha ...
Bado ka toh pet bacchon ki khushiyon mein hi bhar jata hai, lekin phir bhi pua pakwan ka poora intezam rehta tha..
ghanto gaape ladana toh mano dadu ka janam sidhd adikar ho , wo itni khaniyan sunate aur sunte ki shaam se raat kab ho jati pata hi nahi chalta agar thore derh ke liye sannata ho bhi jaye toh koi dikkat nahi news ka volume hamesha high pe rehta tha...
Dadu aur dadi ke pairo mein unse kam umar ka har koi gulal lagta tha, itna samman , adar aur pyaar bhla sochti hu , hai kya seher ke logon mein? ...ya woh sab bhi apne gaon ki yaadon se bhara pitara kholte hai waqt-waqt par, magar sapne seheron mein pura karte hai ...
jo sukoon ham har Holi anjaano ke beech dhunte wo sayad kabhi na mil paye , agar mile toh woh uss jaisi kabhi na bann paye... yahi meri dua hai...
Happy holi dadu :)
I miss you!
Comments
Post a Comment