Skip to main content

Sab bhulne lagi hu

 Mai sab bhulne lagi hu ,

Kyuki kisi ne mujhse pucha hi nahi,

Samaj se nazre milane lagi hu

 kyuki

apno ne mujhe samjha hi nahi


Comments

Popular posts from this blog

The Stationery Shop

 Ajj ek ehsaas hua Mai bachpan se hamesa ek hi stationary shop pe jaati thii aur woh uncle bhot ache thee.... Sabse jayada Mazza toh tab ataa thaa jab mai aur dadu waha jaake sapne karida karte thee... Haa sapne . Dadu ke liye woh sapne paint brushes aur paints kharidne meh thaa kyuki woh unse ek dusri duniya pirote thee ... Abb kalakar hai janab kapde latto se jayada canvas aur paint se pyaar hota hai inhe waise dadu ko toh dono se thaa isliye toh mere favourite hai. Unko dekh kar , sunn kar , aur uss jhule meh baith kar radio sunte hue apne drawing book meh jab woh painting banate thee toh mere dil ka ek hissa bhi kuch pal ke liyo mano azaad mehsus karta thaa ajj bhi uss jhule par wahi ehsaas wapas atta hai , jo jhula dadu ne mere liye banaya thaa woh toh ab nahi hai , par woh stationery wali dukaan .. woh abtak hai aur mai ab unke pass jati nahi samaan lene ... Pheli sochti thii sayad woh dukan purani ho gayi hai aur woh chizzo meh discount kam dete hai isliye magar sach toh ye ...

When it felt like i have you

 Days when it felt like I had you were the best ones. Not does destiny decide where I'll be rather, my destiny is itself finding its own. Restless, not because it's worth it but to keep myself tolerated. Turning pages, I see my story the untold ones will always be my glory. Yes, we hide things just to make everything alright.  The overwhelming desire of discreet people to be overshown always tempts me to hiss.  The gleaming sun rescued a repulsive thought. Worn out clothes, old coffee mugs and ofcourse, those small earrings in the corner of the closet make me happy.  See yourself, yes you Are you less than a beauty? Having malicious behaviour towards oneself causes nothing but harm.

Holi is never the same after 2020

Yaad aati hai 2020 se phele ki Holi ki , Yaad aate hai befikr bekauf baache jo gaon ki galiyon mein kameez phad kar holi khela karte thee , kyuki bura manna mana haina ... Ab kha rahi wo baat , na rahein logg, jo reh gaye unse bhi kam hone lagi mulakaat ... ab wo ladkiyan mujhe ghar aakar nahi bolti "Didi chalo na bahar , rang lagayenge apko" ab wo chhat se chhat pe pichkari se waar kon karega ? dhero mithaiyian kon batega ? kon hoga hasne wala ? baat baat pe roone wala , aur jab dadi kuch kaam dede toh muh phulane wala?... yaad aati hai ... uss har ek shaqs ki jo shaam hote hi holi wale ghar mein abeer khelne aate thee .. woh rang mano prateek thee ek ummed ki .. chaye jeevan mein kitna bhi dukh aye ham haar nahi manenge, aur sada sath rahenge. ajj rang toh kal tumhari khali jholi bhi bhar denge.. Pata hai , jab ham bachon ko chocolates dete thee toh unke chere ka noor kuch aur hi hota tha ... woh kya haina mummy janti thi ki unki bachi ko chocolates pasand hai toh unko bhi ...