Aaj main bazar gayi na na krte huye bhi apne liye ek kitab le ayi... Har baar ki tarah iss baar bhi laga tha isme kuch toh khass hai ... Sau panne palte par ruki kis par bhi na Padhti chali gayi pnna pnna Jaise ikhtitam koi hona jab ruki kitab khtm ho chuki thi Aur ghadi mein dekha toh subha ke 6 bajj chuke thee. Par wo kahani khatm nhi huyi aisa laga mano shuruwat huyi hai mere barkat ki, hifazat thi toh inkaar ki naubat na ayi... Socha wo shakhs bhi toh aisa hi tha khtm ho chuka par jeevan de gaya mujhe Kya malum kis haal mein pada hoga woh... jaise pari rehti hai purani kitaabe mez ke ek kone par, par unhe phekta koi nhi.. Uske diye dard lakh baar chilaye mere seene mein dafan par maine barf ki patti bandh di thi apni aakhon pr ... Dur se sor krta woh ya sirf uski parchhayi? Jab main hosh mein ayi wo tha wahi uss mez par Jis kitab ki keemat main kabhi na bhar paayi..