Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2024

The Stationery Shop

 Ajj ek ehsaas hua Mai bachpan se hamesa ek hi stationary shop pe jaati thii aur woh uncle bhot ache thee.... Sabse jayada Mazza toh tab ataa thaa jab mai aur dadu waha jaake sapne karida karte thee... Haa sapne . Dadu ke liye woh sapne paint brushes aur paints kharidne meh thaa kyuki woh unse ek dusri duniya pirote thee ... Abb kalakar hai janab kapde latto se jayada canvas aur paint se pyaar hota hai inhe waise dadu ko toh dono se thaa isliye toh mere favourite hai. Unko dekh kar , sunn kar , aur uss jhule meh baith kar radio sunte hue apne drawing book meh jab woh painting banate thee toh mere dil ka ek hissa bhi kuch pal ke liyo mano azaad mehsus karta thaa ajj bhi uss jhule par wahi ehsaas wapas atta hai , jo jhula dadu ne mere liye banaya thaa woh toh ab nahi hai , par woh stationery wali dukaan .. woh abtak hai aur mai ab unke pass jati nahi samaan lene ... Pheli sochti thii sayad woh dukan purani ho gayi hai aur woh chizzo meh discount kam dete hai isliye magar sach toh ye ...